Ravi Goyal

Add To collaction

Ek Din Achanak Part 41

Usi samay Inspector Prem Sagar bhi apne laav lashkar samet wahan pahunch gaya. Bahar Sikander ke gundo ne unhen rokne ki koshish ki lekin Prem ne sabko thikane lagate huye andar pravesh kar liya. Andar aakar usne dekha ki situation to pehle se hi control mein hai. Bas uske liye ab sirf ek kaam hi bacha tha ki sab gundo ko giraftaar kare aur lockup mein daal de.

 

Idhar Raj ne Sikander se kaha “Papa mujhe pata nahin tha ki meri ragon mein ek gangster, ek criminal ka khoon daud raha hai. Ab to mujhe aapse ghin aane lagi hai. Aapke paap ke saaye mein main bhi ek din criminal ban jaata lekin Sonali ke pyaar ki wajah se maine us raaste se kadam wapas kheench liye. Mujhe nahin pata tha ki aap itni ghinoni harkat karoge ki apni beti jaisi umar ki ladkiyon ko yun jabardasti uthar kar le aayoge. Aap kitne gir gaye hain”

 

Sikander ki aankhon se aansu beh rahe the. Usne kaha “Bete mujhe maaf kar de. Maine jo kuc bhi kiya sirf tere liye aur teri khushi ke liye kiya. Mera tu hi to ek sahara hai.” 

 

 “Mat kaho mujhe beta. Main ek gunehgaar ka beta nahin ho sakta.” Halanki ye sab bolte huye Raj ki saanse pata nahin kitni baar ukhdi lekin wo bas bolta jaa raha tha. Pata nahin shayad uske dil par koi bhari bojh tha jo use bolne par majboor kar raha tha.



Dono ke beech baatein chal rahi thi aur sab khamosh ise dekh rahe the.

 

 “Agar aap ko mere dwara pita kehalwana hai to aapko apne gunahon ka prayaschit karna padega. Saare jurm kabool kar lijiye aur ek shareef insaan ki tarah jeevan vyatit kijiye”. Sikander ne marte huye apne bete ki aakhri ichha ko maan liya aur jurm kabool lene ki baat bhi maan li. 



Itne mein Sonali ko hosh aa gaya aur wo daudkar Raj ke paas aa gayi. “Raj, tum mujhe chod kar nahin jaa sakte. Abhi to hamare jeevan ki nayi shuruat huyi thi. Um mujhe aise beech majhdhar mein chod kar nahin ja sakte. Main is paapi samaj ka saamna akele nahin kar sakti. Hamare bachhe ka kya hoga. Use baap ka pyaar kahan se milega”.

 

Raj ne ek najar Jay ki taraf dekha aur ishare se use apne paas bulaya aur kaha “Jay maine bahut bura salook kiya hai hamesha se tumhare saath. Ho sake to mujhe maaf kar dena.”

 

 “Tumne mujhe bachane ke liye apni jaan jokhim mein daal di. Main tumhara ehsaan kaise utarunga”

 

 “Agar tum ehsaan utarna hi chahte ho to mere baad Sonali aur mere bache ka khyaal rakhne ki tumhari jimmedari. Dono ko musibaton se bachane aur inhe sambhalne ke liye tum tayyar ho iska mujhe vachan do”

 

 “Main tumhe vachan deta hoon ki main dono ko koi takleef nahin hone dunga” Aur itna sunne ke baad Raj ke dil ko ek gehri shaanti mil gayi aur uski aankhen hamesha ke liye band ho gayi. Sikander ke to jaise aansu hi sookh gaye the. Wo rundhe gale se utha aur usne inspector Prem Sagar ke saamne iqbaale jurm kar diya aur saare sabot de diye. Usne apni saari jaydad apne pote ke naam likhne ka faisla kar liya.

 

Iske baad Raj aur baaki gundo ke mrit sharer ko post martam ke liye bhej diya aur jaroori enquiry karne ke baad sab doston ko bhi chod diya gaya. Agle din Raj ka shareer hospital se mil gaya aur uska antim sanskar kar diya gaya. 



Antim sanskar mein shaamil hone ke liye Sikander ko paison aur achhe vakeelon ki pairvi aur doston ki likhit prarthna par special permission mil gayi. Charo taraf ek khamoshi si cha gayi thi. Jaisa waqt ruk gaya hai. Lekin sab khush bhi the ki bura waqt tal gaya hai.

 

Dheere dheere sabka jeewan wapas patri par aane laga. Jawed ko itne bade gang ko pakadwane ke inaam swaroop riha kar diya gaya.


Uska jeewan bhi ek sundari ke pyaar mein pad kar khushnuma ho gaya tha. Pyaar ke liye khatre mein jo ye dost kood padte the use dekhkar Ravi ko to pyaar naam se nafrat ho gayi thi. Uska manna tha ki chaar din ki jindagi hai, khao piyo aur mast raho. Kal kisne dekha hai. Aaj ko enjoy karo bas. 



Idhar Pawan aur Riya ka pyaar aur gehra ho gaya thais ghatna ke baad. Jay bhi ab aksar Sonali ki ghar jaane laga tha. Kabhi usko doctor ke paas le jaata to kabhi aur kisi kaam mein uski help karta. 

 

Sanju ka bhi badla poora ho gaya tha. Uski Sanjana ke kaatil ko usne saja dilwa di thi. Jo uske dil par bojh tha wo hat gaya tha aur wo bhi Ravi ki tarah masti mein choor tha. Lekin Diya ko ab bhi apne pyaar ko haasil karna tha. Pata nahin wo kar payegi ya nahin lekin uski dosti Ravi ke saath aisi ho gayi thi ki jaise dono do jism ek jaan ho. Kahin bhi jaana ho ya kuch bhi programme ho dono aksar ek doosre ke saath hi rehte the.

 

Isi tarah 2nd year khatam ho gaya aur sabne usko ache numbers se paas bhi kar liya. 

 

End of Episode 5



To be continued....

   17
9 Comments

Saba

13-Jan-2022 08:50 PM

Nice

Reply

Kareem

13-Jan-2022 08:26 PM

Nice

Reply

Ayra S

23-Dec-2021 04:06 PM

Great

Reply